Sahir Ludhianvi
  • Home
    • Contact Us
  • About Sahir
  • Filmography
  • Songs
    • A to L
    • M to Z
  • Sahir Ki Yaad MeN

muhabbat baRe kaam kii cheez hai

Song : muhabbat baRe kaam kii cheez hai
Movie : Trishul
Singer:  Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Yesudas
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Khaiyyam
Starring : Sanjeev Kumar, Waheeda Rehman, Amitabh Bachchan, Rakhee, Shashi Kapoor, Hema Malini, Poonam Dhillon, Sachin

har taraf husn aur jawaanii hai aaj kii raat kyaa suhaanii hai
reshamii jism thar_tharaate haiN mar_marii hoNTh gun_gunaate haiN 
dhaRakanoN meN suroor phailaa hai rang nazadeek-o-door phailaa hai 
daawat-e-ishq de rahii hai fizaa aaj ho jaa kisii haseeN pe fidaa 

muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai 

muhabbat ke dam se hai duniyaa ye roshan 
muhabbat na hotii to kuchh bhii naa hotaa 
nazar aur dil kii panaahoN kii Khaatir 
ye jannat naa hotii to kuchh bhii naa hotaa 
yahii ek aaraam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai

kitaaboN meN chhapate hai chaahat ke qisse
haqeeqat kii duniyaaA meN chaahat nahiiN hai
zamaane ke baazaar meN ye wo shay hai 
ke jis kii kisiiko zaroorat nahiiN hai
ye bekaar bedaam kii cheez hai, naam kii cheez hai
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
ye kudarat ke iinaam kii cheez hai 

muhabbat se itanaa Khafaa hone waale
chal aa aaj tujh ko muhabbat sikhaa de 
teraa dil jo barasoN se veeraaN paRaa hai 
kisii naazaneenaaN ko is meN basaa deN 
meraa mashwaraa kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai 

muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai

© Nita Awatramani 1997 - 2020