Sahir Ludhianvi
  • Home
    • Contact Us
  • About Sahir
  • Filmography
  • Songs
    • A to L
    • M to Z
  • Sahir Ki Yaad MeN

Sahir ki yaad meN - 21st July, 2016

7/21/2016

0 Comments

 
Song : tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko 
Movie : Didi (1959)
Singer : Sudha Malhotra, Mukesh
Music : Sudha Malhotra (N. Dutta fell ill during the making of this movie) 
Starring : Shobha Khote, Sunil Dutt
​
tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko
merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai

mere dil kii mere jazbaat kii qeemat kyaa hai
ulajhe ulajhe se Khayaalaat kii qeemat kyaa hai
maiN ne kyooN pyaar kiyaa tum ne na kyooN pyaar kiyaa
in pareshaan sawaalaat kii qeemat kyaa hai
tum jo ye bhii na bataao to ye haq hai tum ko
merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai

zindagii sirf mohabbat nahiiN kuchh aur bhii hai
zulf-o-ruKhsaar kii jannat nahiiN kuchh aur bhii hai
bhookh aur pyaas kii maarii hu_ii is duniyaa meN
ishq hii ek haqeeqat nahiiN kuchh aur bhii hai
tum agar aaNkh churaao to ye haq hai tum ko
maiN ne tum se hii nahiiN sab se mohabbat kii hai

tum ko duniyaa ke Gam-o-dard se furasat naa sahii 
sab se ulafat sahii mujh se hii mohabbat na sahii
maiN tumhaarii hooN yahii mere liye kyaa kam hai
tum mere ho ke raho ye merii qismat na sahii
aur bhii dil ko jalaao to ye haq hai tum ko
merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai

tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 18th July, 2016

7/18/2016

0 Comments

 
Song : kaun aayaa ki nigaahoN meN chamak jaag uThii
Movie : Waqt (1965)
Singer : Asha Bhonsle
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Sadhana, Raaj Kumar

kaun aayaa ki nigaahoN meN chamak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ke aane kii Khabar le ke hawaayeN aa_iiN 
jism ke phool chaTakane kii sadaayeN aa_iiN 
rooh khilane lagii saaNsoN meN mahak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ne ye merii taraf dekh ke baaNheN kholiiN 
shoKh jazbaat ne seene meN nigaaheN kholiiN 
hoNTh tapane lage zulfoN meN lachak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ke haathoN ne mere haathoN se kuchh maaNgaa hai 
kis ke KhwaaboN ne merii raatoN se kuchh maaNgaa hai 
saaz bajane lage aaNchal meN khanak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 14th July, 2016

7/14/2016

0 Comments

 
Song : ​​​chehare pe Khushii chhaa jaatii hai
Movie : Waqt (1965)
Singer : Asha Bhonsle
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Sadhana, Raaj Kumar, Sharmila Tagore, Sunil Dutt

​​
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai aaNkhoN meN suroor aa jaataa hai 
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

tum husn kii Khud ik duniyaa ho shaayad ye tumheN maaloom nahiiN 
mahafil meN tumhaare aane se har cheez pe noor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

ham paas se tum ko kyaa dekheN tum jab bhii muqaabil aate ho 
betaab nigaahoN ke aage pardaa saa zaroor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

jab tum se muhabbat kii ham ne tab jaa ke kahiiN ye raaz khulaa 
marane kaa saleekaa aate hii jeene kaa sha_oor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 


0 Comments

Sahir ki yaad meN - 11th July, 2016

7/11/2016

0 Comments

 
Song : ​ai merii zohra_jabiiN tujhe maaloom nahiiN
Movie : Waqt (1965)
Singer : Manna De
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Balraj Sahni, Achla Sachdev

ai merii zoharaa_jabiiN
tujhe maaloom nahiiN
too abhii tak hai hasiiN aur maiN jawaaN
tujh pe qurbaan merii jaan merii jaaN
ai merii ...

ye shokhiyaaN ye baaNkapan
jo tujh meN hai kahiiN nahiiN
diloN ko jeetane kaa fan
jo tujh meN hai kahiiN nahiiN
maiN terii 
maiN terii aaNkhoN meN paa gayaa do jahaaN
ai merii ...

tuu miiThe bol jaan-e-man
jo muskuraake bol de
to dhaRakanoN meN aaj bhii
sharaabii rang ghol de
o sanam 
o sanam maiN teraa aashiq-e-jaawidaaN
ai merii ...

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 7th July, 2016

7/7/2016

0 Comments

 
Song : ​man re tuu kaahe naa dheer dhare
Movie : Chitralekha (1964)
Singer : Mohd. Rafi
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Roshan
Starring : Pradeep Kumar

​
man re tuu kaahe naa dheer dhare
wo nirmohii moh naa jaane, jin kaa moh kare
man re...

is jeewan kii chaRhatii Dhalatii
dhuup ko kisane baa.ndhaa
ra.ng pe kisane pahare Daale
rup ko kisane baaNdhaa
kaahe ye jatan kare
man re...

utanaa hii upkaar samajh ko_ii
jitanaa saath nibhaa de
janam maran kaa mel hai sapanaa
ye sapanaa bisaraa de
ko_ii na sang mare
man re...

man re tuu kaahe naa dheer dhare
wo nirmohii moh naa jaane, jin kaa moh kare
man re...

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 4th July, 2016

7/4/2016

0 Comments

 
Song : chhaa gaye baadal neel gagan par
Movie : Chitralekha (1964)
Singer : Asha Bhonsle, Mohd. Rafi
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Roshan
Starring : Meena Kumari, Pradeep Kumar

chhaa gaye baadal neel gagan par
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale

dekh ke meraa man bechain
rain se pahale ho ga_ii rain
aaj hriday ke swapan phale
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale

roop kii sangat aur ekaant
aaj bhaTakataa man hai shaant
kah do samay se tham ke chale
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale
                           
chhaa gaye baadal neel gagan par
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale

andhiyaaroN kii chaadar taan
ek honge do vyaakul praaN
aaj na ko_ii deep jale
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale

chhaa gaye baadal neel gagan par
ghul gayaa kajaraa saaNjh Dhale

0 Comments

    Author

    Nita Awatramani

    Archives

    July 2016
    June 2016
    April 2014
    March 2014
    August 2013
    July 2013
    February 2013
    November 2012
    October 2012
    September 2012
    August 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    50s
    60s
    70s
    Aaj Aur Kal
    Asha Bhonsle
    Ashok Kumar
    Balraj Sahni
    Chitralekha
    Dharmendra
    Didi
    Ek Mahal Ho Sapnon Ka
    Film Song
    Ghazal
    Khaiyyam
    Kishore Kumar
    Lata Mangeskhar
    Mala Sinha
    Manna De
    Meena Kumari
    Mukesh
    Nanda
    Phir Subah Hogi
    Poetry
    Pradeep Kumar
    Raaj Kumar
    Rafi
    Raj Kapoor
    Ravi
    Roshan
    Sadhana
    Sahir Ki Yaad Men
    Sharmila Tagore
    Shobha Khote
    Site Enhancement
    Sudha Malhotra
    Sunil Dutt
    Tanuja
    Waqt

    RSS Feed

© Nita Awatramani 1997 - 2020