Sahir Ludhianvi
  • Home
    • Contact Us
  • About Sahir
  • Filmography
  • Songs
    • A to L
    • M to Z
  • Sahir Ki Yaad MeN

Sahir ki yaad meN - 18th July, 2016

7/18/2016

0 Comments

 
Song : kaun aayaa ki nigaahoN meN chamak jaag uThii
Movie : Waqt (1965)
Singer : Asha Bhonsle
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Sadhana, Raaj Kumar

kaun aayaa ki nigaahoN meN chamak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ke aane kii Khabar le ke hawaayeN aa_iiN 
jism ke phool chaTakane kii sadaayeN aa_iiN 
rooh khilane lagii saaNsoN meN mahak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ne ye merii taraf dekh ke baaNheN kholiiN 
shoKh jazbaat ne seene meN nigaaheN kholiiN 
hoNTh tapane lage zulfoN meN lachak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

kis ke haathoN ne mere haathoN se kuchh maaNgaa hai 
kis ke KhwaaboN ne merii raatoN se kuchh maaNgaa hai 
saaz bajane lage aaNchal meN khanak jaag uThii
dil ke soye huye taaroN meN khanak jaag uThii 

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 14th July, 2016

7/14/2016

0 Comments

 
Song : ​​​chehare pe Khushii chhaa jaatii hai
Movie : Waqt (1965)
Singer : Asha Bhonsle
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Sadhana, Raaj Kumar, Sharmila Tagore, Sunil Dutt

​​
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai aaNkhoN meN suroor aa jaataa hai 
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

tum husn kii Khud ik duniyaa ho shaayad ye tumheN maaloom nahiiN 
mahafil meN tumhaare aane se har cheez pe noor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

ham paas se tum ko kyaa dekheN tum jab bhii muqaabil aate ho 
betaab nigaahoN ke aage pardaa saa zaroor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 

jab tum se muhabbat kii ham ne tab jaa ke kahiiN ye raaz khulaa 
marane kaa saleekaa aate hii jeene kaa sha_oor aa jaataa hai
jab tum mujhe apanaa kahate ho apane pe Guroor aa jaataa hai
chehare pe Khushii chhaa jaatii hai 


0 Comments

Sahir ki yaad meN - 11th July, 2016

7/11/2016

0 Comments

 
Song : ​ai merii zohra_jabiiN tujhe maaloom nahiiN
Movie : Waqt (1965)
Singer : Manna De
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Balraj Sahni, Achla Sachdev

ai merii zoharaa_jabiiN
tujhe maaloom nahiiN
too abhii tak hai hasiiN aur maiN jawaaN
tujh pe qurbaan merii jaan merii jaaN
ai merii ...

ye shokhiyaaN ye baaNkapan
jo tujh meN hai kahiiN nahiiN
diloN ko jeetane kaa fan
jo tujh meN hai kahiiN nahiiN
maiN terii 
maiN terii aaNkhoN meN paa gayaa do jahaaN
ai merii ...

tuu miiThe bol jaan-e-man
jo muskuraake bol de
to dhaRakanoN meN aaj bhii
sharaabii rang ghol de
o sanam 
o sanam maiN teraa aashiq-e-jaawidaaN
ai merii ...

0 Comments

    Author

    Nita Awatramani

    Archives

    July 2016
    June 2016
    April 2014
    March 2014
    August 2013
    July 2013
    February 2013
    November 2012
    October 2012
    September 2012
    August 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    50s
    60s
    70s
    Aaj Aur Kal
    Asha Bhonsle
    Ashok Kumar
    Balraj Sahni
    Chitralekha
    Dharmendra
    Didi
    Ek Mahal Ho Sapnon Ka
    Film Song
    Ghazal
    Khaiyyam
    Kishore Kumar
    Lata Mangeskhar
    Mala Sinha
    Manna De
    Meena Kumari
    Mukesh
    Nanda
    Phir Subah Hogi
    Poetry
    Pradeep Kumar
    Raaj Kumar
    Rafi
    Raj Kapoor
    Ravi
    Roshan
    Sadhana
    Sahir Ki Yaad Men
    Sharmila Tagore
    Shobha Khote
    Site Enhancement
    Sudha Malhotra
    Sunil Dutt
    Tanuja
    Waqt

    RSS Feed

© Nita Awatramani 1997 - 2020