Sahir Ludhianvi
  • Home
    • Contact Us
  • About Sahir
  • Filmography
  • Songs
    • A to L
    • M to Z
  • Sahir Ki Yaad MeN

Sahir ki yaad meN - 7th July, 2016

7/7/2016

0 Comments

 
Song : ​man re tuu kaahe naa dheer dhare
Movie : Chitralekha (1964)
Singer : Mohd. Rafi
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Roshan
Starring : Pradeep Kumar

​
man re tuu kaahe naa dheer dhare
wo nirmohii moh naa jaane, jin kaa moh kare
man re...

is jeewan kii chaRhatii Dhalatii
dhuup ko kisane baa.ndhaa
ra.ng pe kisane pahare Daale
rup ko kisane baaNdhaa
kaahe ye jatan kare
man re...

utanaa hii upkaar samajh ko_ii
jitanaa saath nibhaa de
janam maran kaa mel hai sapanaa
ye sapanaa bisaraa de
ko_ii na sang mare
man re...

man re tuu kaahe naa dheer dhare
wo nirmohii moh naa jaane, jin kaa moh kare
man re...

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 30th June, 2016

6/30/2016

0 Comments

 
Song : sansaar se bhaage phirate ho
Movie : Chitralekha (1964)
Singer : Lata Mangeshkar
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Roshan
Starring : Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Mehmood

sansaar se bhaage phirate ho, bhagawaan ko tum kyaa paa_oge
is log ko bhii apanaa naa sake, us lok meN bhii pachhataa_oge
sansaar se bhaage phirate ho...

ye paap hai kyaa ye punya hai kyaa, reetoN par dharm kii mohareN haiN
har yug meN badalate dharmoN ko, kaise aadarsh banaa_oge
sansaar se bhaage phirate ho...

ye bhog bhii ek tapasyaa hai, tum tyaag ke maare kyaa jaano
apamaan rachetaa kaa hogaa, rachanaa ko agar Thukaraa_oge
sansaar se bhaage phirate ho...

ham kahate haiN ye jag apanaa hai, tum kahate ho jhooThaa sapanaa hai
ham janam bitaa kar jaayenge, tum janam gaNvaa kar jaa_oge

sansaar se bhaage phirate ho, bhagawaan ko tum kyaa paa_oge
sansaar se bhaage phirate ho...
​
0 Comments

Sahir ki yaad meN - 1st April, 2014

4/1/2014

2 Comments

 
Song : mujhe gale se lagaa lo bahut udaas hooN maiN
Movie : Aaj Aur Kal (1963)
Singer : Asha Bhonsle
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Nanda, Sunil Dutt, Ashok Kumar, Tanuja

Today's post is a tribute to actress Nanda who passed away last week.

mujhe gale se lagaa lo bahut udaas hooN maiN 
Gam-e-jahaaN se chhuRaa lo bahut udaas hooN maiN 

ye intazaar kaa dukh ab sahaa nahiiN jaataa 
taRap rahii hai muhabbat rahaa nahiiN jaataa 
tum apane paas bulaa lo bahut udaas hooN maiN 
mujhe gale se lagaa lo 

bhaTak chukii hooN bahut zindagii kii raahoN meN 
mujhe ab aa ke chhupaalo tum apanii baahoN meN 
meraa sawaal naa Taalo bahut udaas hooN maiN 
mujhe gale se lagaa lo 

har ek saaNs meN milane kii pyaas palatii hai 
sulag rahaa hai badan aur rooh jalatii hai 
bachaa sako to bachaa lo bahut udaas hooN maiN 
game jahaaN se chhuRaa lo bahut udaas hooN maiN 
mujhe gale se lagaalo

2 Comments

Sahir ki yaad meN - 27th March, 2014

3/27/2014

2 Comments

 
Song : phir na keeje merii gustaaKh_nigaahii kaa gilaa
Movie : Phir Subah Hogi (1958)
Singer : Asha Bhonsle, Mukesh
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Khaiyyam
Starring : Raj Kapoor, Mala Sinha

phir naa keeje merii gustaaKh_nigaahii kaa gilaa 
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko 
maiN kahaaN tak na nigaahoN ko palaTane detii 
aap ke dil ne ka_ii baar pukaaraa mujh ko 

is qadar pyaar se dekho naa hamaarii jaanib
dil agar aur machal jaaye to mushkil hogii 
tum jahaaN merii taraf dekh ke ruk jaaoge 
wahii manzil merii taqadeer kii manzil hogii 
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko 
aap ke dil ne ka_ii baar pukaaraa mujh ko 

ek yooN hii sii nazar dil ko jo chhoo letii hai 
kitane aramaan jagaa detii hai tumheN kyaa maaloom 
rooh bechain hai qadamoN se lipaTane ke liye 
tum ko har saaNs bulaatii hai tumheN kyaa maaloom 
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko 
aap ke dil ne ka_ii baar pukaaraa mujh ko 

har nazar aap kii jazbaat ko ukasaatii hai 
maiN agar haath pakaR looN to Khafaa mat honaa 
merii duniyaa-e-mohabbat hai tumhaare dam se 
merii duniyaa-e-mohabbat se judaa mat honaa 
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko 
aap ke dil ne ka_ii baar pukaaraa mujh ko 
2 Comments

Sahir ki yaad meN - 20th July, 2013

7/20/2013

0 Comments

 
Song : dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qareeb se
Movie : Ek Mahal Ho Sapnon Ka (1975)
Singers : Kishore Kumar
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : Ravi
Starring : Sharmila Tagore, Dharmendra, Ashok Kumar

dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se
chehare tamaam lagane lage haiN ajeeb se

kahane ko dil kii baat jinheN DhooNDhate the ham
mahafil meN aa gaye haiN wo apane naseeb se

neelaam ho rahaa thaa kisii naaz_neeN kaa pyaar
qeemat nahiiN chukaa_ii ga_ii ik Gareeb se

terii wafaa kii laash pe laa maiN hii Daal dooN
resham kaa ye kafan jo milaa hai raqeeb se

tamaam = all
neelaam = auction
naaz_neeN = beautiful young lady
qeemat = price
Gareeb = poor/actually means foreigner or refugee but colloquial usage translates as poor
laash = dead body
resham = silk
kafan = burial shroud
raqeeb = rival

0 Comments

    Author

    Nita Awatramani

    Archives

    July 2016
    June 2016
    April 2014
    March 2014
    August 2013
    July 2013
    February 2013
    November 2012
    October 2012
    September 2012
    August 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    50s
    60s
    70s
    Aaj Aur Kal
    Asha Bhonsle
    Ashok Kumar
    Balraj Sahni
    Chitralekha
    Dharmendra
    Didi
    Ek Mahal Ho Sapnon Ka
    Film Song
    Ghazal
    Khaiyyam
    Kishore Kumar
    Lata Mangeskhar
    Mala Sinha
    Manna De
    Meena Kumari
    Mukesh
    Nanda
    Phir Subah Hogi
    Poetry
    Pradeep Kumar
    Raaj Kumar
    Rafi
    Raj Kapoor
    Ravi
    Roshan
    Sadhana
    Sahir Ki Yaad Men
    Sharmila Tagore
    Shobha Khote
    Site Enhancement
    Sudha Malhotra
    Sunil Dutt
    Tanuja
    Waqt

    RSS Feed

© Nita Awatramani 1997 - 2020