Movie : Dhool Ka Phool (1953)
Singer : Mohd. Rafi
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Music : N. Dutta
Starring : Rajendra Kumar, Mala Sinha
Picturized On : Manmohan Krishan
tuu hinduu banegaa na musalamaan banegaa
insaan kii aulaad hai insaan banegaa
achchhaa hai abhii tak teraa kuchh naam nahiiN hai
tujh ko kisii mazhab se ko_ii jaam nahiiN hai
jis ilm ne insaanoN ko taqseem kiyaa hai
us ilm kaa tujh par ko_ii ilzaam nahiiN hai
tuu badale huye waqt kii pahachaan banegaa
insaan kii aulaad hai insaan banegaa
maalik ne har insaan ko insaan banaayaa
ham ne use hinduu yaa musalamaan banaayaa
kudarat ne to baKhshii thii hameN ek hii dharatii
ham ne kahiiN bhaarat kahiiN iiraan banaayaa
jo toR de har band wo toofaan banegaa
insaan kii aulaad hai insaan banegaa
nafarat jo sikhaaye wo dharam teraa nahiiN hai
insaaN ko jo rauNde wo qadam teraa nahiiN hai
quraan na ho jis meN wo mandir nahiiN teraa
geetaa na ho jis meN wo haram teraa nahiiN hai
tuu aman aur sulah kaa aramaan banegaa
insaan kii aulaad hai insaan banegaa
ye deen ke taajar ye watan bechane waale
insaanoN kii laashoN ke qafan bechane waale
ye mahaloN meN baiThe huye qaatil ye luTere
kaaNToN ke iwaz rooh-e-chaman bechane waale
tuu in ke liye mut kaa elaan banegaa
insaan kii aulaad hai insaan banegaa