Movie : Babar (1960)
Singers : Asha Bhonsle, Manna De, Mohd. Rafi, Sudha Malhotra, Chorus
Music : Roshan
Starring : Azra, Sohan, Shobha Khote
haseenoN ke jalwe pareshaan rahate agar ham na hote
mohabbat se tum log anjaan rahate agar ham na hote
hamiiN ne tumheN jaan-e-mehfil banaayaa
nigaahoN meN tul ne ke qaabil banaayaa
hamiiN ne sikhaayaa tumheN waar karanaa
huye qatl aur tum ko qaatil banaayaa
ye sab naaz-o-andaaz bejaan rahate agar ham na hote
hamiiN ne tumheN pyaar kii roshanii di
jo aaNchal se chhantii hai wo chaaNdanii dii
nazar se jawaanii kii shabanam looTaa ke
tamannaa ke har phool ko taazagii dii
chaman aarazooN ke veeraan rahate agar ham na hote
agar ham no hote to kyaa baat banatii
siyaa zulf kaise haseeN raat banatii
agar ham na chaahat ke sajde luTaate
Khudaa kis tarah husn kii baat banatii
butoN ko Khudaa_ii ke armaan rahate agar ham na hote
tumheN ham ne jaadoo bhare Khwaab baKhshe
andherii fizaaoN ko mahataab baKhshe
junooN ko wafaa kaa salikaa sikhaayaa
diloN ko dhaRakane ke aadaab baKhshe
ye naadaan dil yooN hii naadaan rahate agar ham na hote
jawaaN baazuoN ko lachak ham ne dii hai
haseeN chuRiyoN ko khanak ham ne dii hai
hamiiN ne bharaa loch angaRaa_iyoN meN
tumheN bijaliyoN kii chamal ham ne dii hai
tum is husn par Khud pashemaan rahate agar ham na hote
duaa do ki tum ko muhabbat sikhaa dii
murawwat kii Khaatir sharaafat sikhaa dii
hamiiN ne tumheN Dhang-e-tahzeeb baKhshaa
hamiiN ne tumheN aadamiyat sikhaa dii
zamaane meN wahashat ke saamaan rahate agar ham na hote