Sahir Ludhianvi
  • Home
    • Contact Us
  • About Sahir
  • Filmography
  • Songs
    • A to L
    • M to Z
  • Sahir Ki Yaad MeN

Sahir ki yaad meN - January 15th, 2018

1/15/2018

0 Comments

 
Song : pighalaa hai sonaa door gagan par
Movie : Jaal (1952)
Singer : Lata Mangeshkar
Music : S. D. Burman
Starring : Geeta Bali, Dev Anand

pighalaa hai sonaa door gagan par
phail raheN haiN shaam ke saaye

bhagawan tere sundar rachanaa kitanii pyaarii hai
terii mahimaa ke guN gaataa har nar-naarii hai

Khaamoshii kuchh bol rahii haiN
bhed anokhe khol rahii haiN
paNkh pakheruu soch me gum haiN
peR khaRe hai sheesh jhukaaye

dhuNdale dhuNdale mast nazaareN
uRate baadal muRate dhaare
chhup ke nazar se jaane ye kis ne
rang-rangeele khel rachaaye

ko_ii bhii us kaa raaz na jaane
ek haqeeqat laaKh fasaane
ek hii jalawaa shaam sawere
bhes badal kar saamane aaye
​
​
0 Comments

Sahir ki yaad meN - 4th July, 2016

7/4/2016

0 Comments

 
Song : tang aa chuke haiN kashmakash-e-zindagii se ham
Movie : Pyaasa (1957)
Singer : Mohd. Rafi
Music Director : S. D. Burman
Starring : Guru Dutt, Mala Sinha, Rehman

tang aa chuke haiN kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na deN jahaaN ko kahiiN bedilii se ham

ham Gam_zadaa haiN laayeN kahaaN se Khushii ke geet
denge wahii jo paayeNge is zindagii se ham

ubharenge ek baar abhii dil ke wal_wale
maanaa ke dab gaye haiN Gam-e-zindagii se ham

lo aaj ham ne toR diyaa rishtaa-e-ummeed
lo ab kabhii gilaa na karenge kisii se ham

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 13th June, 2016

6/13/2016

0 Comments

 
Song : tum na jaane kis jahaaN meN kho gaye
Movie : Sazaa (1951)
Singer : Lata Mangeshkar
Music : S. D. Burman
Starring : Dev Anand, Nimmi, Shyama

Note: This is the only song by Sahir in this movie. The other 7 songs were written by Rajinder Krishan.


tum na jaane kis jahaaN meN kho gaye
ham bharii duniyaa meN tanhaa ho gaye

ek jaaN aur laakh Gam ghuT ke rah jaaye na dam
aao tum ko dekh leN Doobatii nazaroN se ham
looT kar meraa jahaaN chhup gaye ho tum kahaaN 
tum kahaaN, tum kahaaN, tum kahaaN
tum na jaane kis jahaaN meN kho gaye

maut bhii aatii nahiiN raat bhii jaatii nahiiN
dil ko ye kyaa ho gayaa ko_ii shay bhaatii nahiiN
looT kar meraa jahaaN chhup gaye ho tum kahaaN 
tum kahaaN, tum kahaaN tum kahaaN
tum na jaane kis jahaaN meN kho gaye

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 7th March, 2016

3/7/2016

0 Comments

 
Song : ye haNsate huye phool ye mahakaa huaa gul_shan
Movie : Pyaasa (1957)

Singer : Mohd. Rafi
Music Director : S. D. Burman
Starring : Guru Dutt, Mala Sinha, Rehman

ye haNsate huye phool ye mahakaa huaa gulshan
ye rang meN aur noor meN Doobii hu_ii raaheN
ye phooloN kaa ras pee ke machalte hue bhaNware
maiN dooN bhii to kyaa dooN tumheN
ai shoKh nazaaroN
le de ke mere paas kuchh aaNsoo haiN kuchh aaheN
​

0 Comments

Sahir ki yaad meN - 29th February, 2016

2/29/2016

0 Comments

 
Song : Gam is qadar baDhe ke maiN ghabaraa ke pii gayaa
Movie : 
Pyaasa (1957)
Singer(s) : Mohd. Rafi
Music Director : S. D. Burman
Starring : Guru Dutt

Gam is qadar baRhe ke maiN ghabaraa ke pii gayaa
is dil kii bebasii pe taras khaa ke pii gayaa

Thukaraa rahaa thaa mujh ko baRii der se jahaaN
maiN aaj sab jahaan ko Thukaraa ke pii gayaa

0 Comments

    Sahir

    "maiN pal do pal kaa shaayar hooN..."

    Archives

    October 2018
    January 2018
    October 2017
    January 2017
    October 2016
    September 2016
    August 2016
    July 2016
    June 2016
    May 2016
    April 2016
    March 2016
    February 2016

    Categories

    All
    40s
    50s
    60s
    70s
    80s
    Aaj Aur Kal
    Alif Laila
    Anil Biswas
    Asha Bhonsle
    Azadi Ki Raah Par
    Babar
    Bahu Begum
    Barsaat Ki Raat
    B. S. Nanji
    Chambal Ki Kasam
    Char Dil Char Rahen
    Chitralekha
    Daag
    Dastaan
    Dharmaputra
    Dhool Ka Phool
    Didi
    Ek Mahal Ho Sapnon Ka
    G. D. Kapoor
    Gumraah
    Hum Dono
    Jaal
    Jaidev
    Jairaj
    Kaajal
    Kabhi Kabhi
    Khaiyyam
    Kishore Kumar
    Kumkum
    Laila Majnu
    Lata Mangeshkar
    Laxmikant Pyarelal
    Leena Chandravarkar
    Madan Mohan
    Mahendra Kapoor
    Mala Sinha
    Manna De
    Meena Kapoor
    Meena Kumari
    Moushumi
    Mukesh
    Nalini Jaywant
    N. Dutta
    Nimmi
    Padmini Kolhapure
    Phir Subah Hogi
    Pyaasa
    Raaj Kumar
    Rafi
    Railway Platform
    Rajesh Khanna
    Raj Kapoor
    Ranjita
    Ravi
    R. D. Burman
    Rehman
    Rishi Kapoor
    Roshan
    Sadhana
    Sahir Ki Yaad MeN
    Sazaa
    S. D. Burman
    Shagun
    Shakeela
    Shammi Kapoor
    Sharmila Tagore
    Shashikala
    Shashi Kapoor
    Shatrughan Sinha
    Shobha Khote
    Shyam Sundar
    Sudha Malhotra
    Suman Kalyanpur
    Sunil Dutt
    Sushma Shreshta
    The Burning Train
    Trishul
    Usha Mangeshkar
    Waqt
    Yesudas

    RSS Feed

© Nita Awatramani 1997 - 2020