Movie : Trishul (1978)
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Yesudas
Music : Khaiyyam
Starring : Amitabh Bachchan, Hema Malini, Shashi Kapoor, Rakhee, Poonam Dhillon, Prem Chopra, Sanjeev Kumar, Waheeda Rehman
har taraf husn aur jawaanii hai aaj kii raat kyaa suhaanii hai
reshamii jism thar_tharaate haiN mar_marii hoNTh gun_gunaate haiN
dhaRakanoN meN suroor phailaa hai rang nazadeek-o-door phailaa hai
daawat-e-ishq de rahii hai fizaa aaj ho jaa kisii haseeN pe fidaa
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
muhabbat ke dam se hai duniyaa ye roshan
muhabbat na hotii to kuchh bhii naa hotaa
nazar aur dil kii panaahoN kii Khaatir
ye jannat naa hotii to kuchh bhii naa hotaa
yahii ek aaraam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
kitaaboN meN chhapate hai chaahat ke qisse
haqeeqat kii duniyaaA meN chaahat nahiiN hai
zamaane ke baazaar meN ye wo shay hai
ke jis kii kisiiko zaroorat nahiiN hai
ye bekaar bedaam kii cheez hai, naam kii cheez hai
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
ye kudarat ke iinaam kii cheez hai
muhabbat se itanaa Khafaa hone waale
chal aa aaj tujh ko muhabbat sikhaa de
teraa dil jo barasoN se veeraaN paRaa hai
kisii naazaneenaaN ko is meN basaa deN
meraa mashwaraa kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai
muhabbat baRe kaam kii cheez hai, kaam kii cheez hai