Movie : Babar (1960)
Singer : Sudha Malhotra
Music : Roshan
Starring : Azra, Sohan Kapila, Shobha Khote
Song : dukh sah kar jo sukh detii hai Movie : Babar (1960) Singer : Sudha Malhotra Music : Roshan Starring : Azra, Sohan Kapila, Shobha Khote
0 Comments
Song : kaase kahooN man kii baat Movie : Dhool Ka Phool (1959) Singer : Sudha Malhotra Music : N. Dutta Starring : Rajendra Kumar, Mala Sinha, Ashok Kumar, Nanda, Manmohan Krishan kaase kahooN man kii baat haaN kaase kahooN man kii baat bairii balamawaa dukhiyaa kar gaye sukh ko le gaye saath kaase kahooN man kii baat har aahaT pe aaNkh lag aaye baiThii rahii maiN sej sajaaye bedardii ne rain bitaa_ii sautaniyaa ke saath kaase kahooN man kii baat preet bhii jhooThii meet bhii jhooThe Thes lagii aur sapane TooTe nainan jal meN Doob ke rah ga_ii madhur milan kii raath kaase kahooN man kii baat Song : tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko Movie : Didi (1959) Singer : Sudha Malhotra, Mukesh Music : Sudha Malhotra (N. Dutta fell ill during the making of this movie) Starring : Shobha Khote, Sunil Dutt tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai mere dil kii mere jazbaat kii qeemat kyaa hai ulajhe ulajhe se Khayaalaat kii qeemat kyaa hai maiN ne kyooN pyaar kiyaa tum ne na kyooN pyaar kiyaa in pareshaan sawaalaat kii qeemat kyaa hai tum jo ye bhii na bataao to ye haq hai tum ko merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai zindagii sirf mohabbat nahiiN kuchh aur bhii hai zulf-o-ruKhsaar kii jannat nahiiN kuchh aur bhii hai bhookh aur pyaas kii maarii hu_ii is duniyaa meN ishq hii ek haqeeqat nahiiN kuchh aur bhii hai tum agar aaNkh churaao to ye haq hai tum ko maiN ne tum se hii nahiiN sab se mohabbat kii hai tum ko duniyaa ke Gam-o-dard se furasat naa sahii sab se ulafat sahii mujh se hii mohabbat na sahii maiN tumhaarii hooN yahii mere liye kyaa kam hai tum mere ho ke raho ye merii qismat na sahii aur bhii dil ko jalaao to ye haq hai tum ko merii baat aur hai maiN ne to mohabbat kii hai tum mujhe bhool bhii jaao to ye haq hai tum ko Song : payaam-e-ishq-o-muhabbat hameN pasand nahiiN Movie : Babar (1960) Singer : Sudha Malhotra Music : Roshan Starring: Azra, Sohan Kapila, Shobha Khote payaam-e-ishq-o-muhabbat hameN pasand nahiiN ye dillagii ye sharaarat hameN pasand nahiiN bajaa nahiiN thaa ye izahaar beqaraarii kaa lihaaz kuchh to kiyaa hotaa pardaadaarii kaa hayaa se itanii baGaawat hameN pasand nahiiN payaam-e-ishq muhabbat hameN pasand nahiiN hameN to haNs ke sitaaroN ne bhii nahiiN dekhaa nazar milaa ke bahaaroN ne bhii nahiiN dekhaa kisii nigaah kii jurrat hameN pasand nahiiN ye dillagii ye sharaarat hameN pasand nahiiN jo taKht-o-taaj ke waaris haiN un kaa pyaar hii kyaa badalane waalii nigaahoN kaa aitabaar hii kyaa hazoor kii ye inaayat hameN psand nahiiN payaam-e-ishq muhabbat hameN pasand nahiiN Song : salaam-e-hasarat qabool kar lo Movie : Babar (1960) Singer : Sudha Malhotra Music : Roshan Starring : Azra, Sohan Kapila, Shobha Khote salaam-e-hasarat qabool kar lo merii muhabbat qabool kar lo salaam-e-hasarat qabool kar lo udaas nazareN taRap taRap kar tumhaare jalawoN ko DhooNDhatii haiN jo Khwaab kii tarah kho gaye un haseen lamhoN ko DhooNDhatii haiN agar na ho naaGawaar tum ko to ye shikaayat qabool kar lo salaam-e-hasrat qabool kar lo tumheeN nigaahoN kii justajoo ho tumheeN KhayaaloN kaa mudda'a ho tumheeN mere waaste sanam ho tumheeN mere waaste Khudaa ho merii parastish kii laaj rakh lo merii ibaadat qabool kar lo salaam-e-hasarat qabool kar lo tumhaarii jhukatii nazar se jab tak na ko_ii paiGaam mil sakegaa na rooh taskeen paa sakegii na dil ko aaraam mil sakegaa Gam-e-judaa_ii hai jaan lewaa ye ik haqeeqat qabool kar lo salaam-e-hasarat qabool kar lo Song : haseenoN ke jalwe pareshaan rahate agar ham na hote Movie : Babar (1960) Singers : Asha Bhonsle, Manna De, Mohd. Rafi, Sudha Malhotra, Chorus Music : Roshan Starring : Azra, Sohan, Shobha Khote haseenoN ke jalwe pareshaan rahate agar ham na hote mohabbat se tum log anjaan rahate agar ham na hote hamiiN ne tumheN jaan-e-mehfil banaayaa nigaahoN meN tul ne ke qaabil banaayaa hamiiN ne sikhaayaa tumheN waar karanaa huye qatl aur tum ko qaatil banaayaa ye sab naaz-o-andaaz bejaan rahate agar ham na hote hamiiN ne tumheN pyaar kii roshanii di jo aaNchal se chhantii hai wo chaaNdanii dii nazar se jawaanii kii shabanam looTaa ke tamannaa ke har phool ko taazagii dii chaman aarazooN ke veeraan rahate agar ham na hote agar ham no hote to kyaa baat banatii siyaa zulf kaise haseeN raat banatii agar ham na chaahat ke sajde luTaate Khudaa kis tarah husn kii baat banatii butoN ko Khudaa_ii ke armaan rahate agar ham na hote tumheN ham ne jaadoo bhare Khwaab baKhshe andherii fizaaoN ko mahataab baKhshe junooN ko wafaa kaa salikaa sikhaayaa diloN ko dhaRakane ke aadaab baKhshe ye naadaan dil yooN hii naadaan rahate agar ham na hote jawaaN baazuoN ko lachak ham ne dii hai haseeN chuRiyoN ko khanak ham ne dii hai hamiiN ne bharaa loch angaRaa_iyoN meN tumheN bijaliyoN kii chamal ham ne dii hai tum is husn par Khud pashemaan rahate agar ham na hote duaa do ki tum ko muhabbat sikhaa dii murawwat kii Khaatir sharaafat sikhaa dii hamiiN ne tumheN Dhang-e-tahzeeb baKhshaa hamiiN ne tumheN aadamiyat sikhaa dii zamaane meN wahashat ke saamaan rahate agar ham na hote |
Sahir"maiN pal do pal kaa shaayar hooN..." Archives
October 2018
Categories
All
|